I have come that you may have life, and life in abundance — Zindagi Forever.

Artist Jagit Singh
Album Pray For India
Release Date Sunday, August 15, 2004
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Meri rooh khuda mein magan hai
Jaan meri najaat se khush hai
Mere sar ko usne buland kiya
Ab kaun mera hai uske siva
Meri rooh…

Dekho guroor se bachh ke rehna
Munh se bada koi bol na kehna
woh hai sab kuch tolne wala
har parde ko kholne wala
woh khuda, khuda-e- reham hai
meri rooh…

himmat meri toot gayi thi
kismat mujhse rooth gayi thi
usne apne paas bulaya
mujhko apne saath bithaya
meri jaan pe uska karam hai
meri rooh…
najaat- freedom/ buland-elevate/ guroor- pride

Artist Anil Kant & Jagjit Singh
Album Pray For India
Release Date Sunday, August 15, 2004
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

Lyrics

Ibteda mein kalaam tha
Aur woh khuda ke paas tha
Woh kalaam khud khuda hi tha
Pehle se uske saath tha
Ibteda mein………

Usme hi sab kuch paida hua
Uske bina toh kuch bhi na tha
Ibteda mein…….

Thi us kalaam se hi zindagi
Thi woh hi insaan ki roshni
Ibteda mein……..

Woh noor chamka andheron mein
Andhera usko samjha na tha
Ibteda mein………………..
Ibteda- beginning/ kalaam- word

 

Artist Anil Kant
Album Pray For India
Release Date Sunday, August 15, 2004
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Tu hi rab hai tu hi sab hai
Leta hun mein tujh mein panaah
Mujhko sambhal mere Khuda

Ter bina kya meri bhalai
Har shay maine tujh se hi payi
Tu hai khudawand mera pyala
Tune mere hisse ko sambhala
Mera muhafiz hai tu khuda
Mujhko sambhal…

Jitna main tere paas rahoonga
Utna hi mazboot banoonga
Tujhko hi bas apna kahunga
Gairon ke peeche na chaloonga
Gaoonga teri hamd-o-sana
Tu hi rab…
Panaah- shelter/ muhafiz- protector/
hamd-o-sana- praise& worship

 

Artist Jagit Singh
Album Pray For India
Release Date Sunday, August 15, 2004
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

Lyrics

khuda se maango milega
uska vada hai woh dega
uske vade pe aitebaar karo
khuda se (pyar karo)-3

wahi to raah hai sach hai
wahi to jeevan hai
aur usne rooh jo bheji hai
saath hardam hai
woh sada saath chalega
uska vada hai chalega, uske vade…

pehle uski baadshaahat
aur uski raah chuno
tumko duniya ki har ik cheez bhi
woh dega suno
woh jo kehta hai karega
uska vada hai karega, uske vade…
Khuda se pyar….
Aitebaar- trust/ Baadshaahat- kingdom

Artist Anil Kant
Album Pray For India
Release Date Sunday, August 15, 2004
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Lyrics

Tu hi toh hai hak aur tu hi rasta
Tu hi zindagi hai zindagi
khudavand khuda…

Mera sab kuch tu hi tu hai
Sath mere ab teri rooh hai
Tu hai malik tu hai dataa
Noor hai tu aur tu khushboo hai
Mujhse ho chahe saari (duniya khafaa)-2
Tu hi zindagi hai… bandagi/ aashiqi

Ghar jo banaye tu hi banaye
Tu na banaye kaun banaye
Shahar bachaye tu hi bachaye
Tu na bachaye kaun bachaye
Duniya mein hogi bas teri hi razaa
Tu hi zindagi………

Har bebas ka tu hai sahara
Doobne wale ka hai kinara
Tu aaghaaz hai tu anjaam hai
Tere bina ab kaun hamaraa
Tune hi banaye hain zameen aasman-2
Tu hi zindagi……………

Artist Anil Kant & Reena Kant
Album Kush Khabri
Release Date Thursday, May 10, 2018
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Artist Reena Kant
Album Kush Khabri
Release Date Thursday, May 10, 2018
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Lyrics

Maine tere liye sirf tere liye
Teri taarif mein bandagi ke liye
Gaaya …. Prem geet – 2
Tu mera pyar hai tu meri aarzoo
Tu mera chain hai tu meri justju
Yeshu …… Aye Masih

Tune mujhko apna banaya
Tune mujhko jeena sikhaya – 2
Aisi hi rahoongi main hurdam
Jaisa tune mijhko banaya
Main jahan bhi rahoon
Bas teri yaad mein
Mera mann to sada teri fariyad mein
Yeshu ……… Aye Masih

Dil ye chahe gaati rahoo main
Geeton ke phool sajati rahoon main
Tere hi sur mein teri lay mein
Duniya ko apna banati rahoon main
Is jahan mein sada tera naam rahe
Her nazar dekhe har jubaan yeh kahe
Yeshu….. Aye Masih

Artist Anil Kant
Album Kush Khabri
Release Date Thursday, May 10, 2018
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Khush khabri-2 Aaya masih-2
Hum sabke ke paapon ko mitane
Duniya se andhakar hatane
Aaya masih-2

Yeshu ke hum chahane wale – 3
Uske geeton ko gaane wale
Kehte hain saari duniya se – 2
Baat sahi aur baat khari, khushkhabri….


Ab meri dor haath mein tere – 3
Tune liye paap bhi mere
Tere jaisa saare jahaan mein – 2
Na hai abhi, Na tha kabhi

Artist Anil Kant
Album Kush Khabri
Release Date Thursday, May 10, 2018
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Lyrics


Khuda Hai Mohabbat, Yeshu Khuda hai
Yeshu Ki Mohabbat, Sabse Judaa hai

Mere Doston ne mujhko ik din bulaya
Yeshu masih ka mujhko kissa sunaya
Sunke woh baaten mera sar jhuk gaya hai

 

Nayi Zindagi se mud kar, wapas na jaana
Shaitaan ki baaton mein, phir se na aana
jannat ka humse khuda ne wadaa kiya hai
Khuda Hai Mohabat…

Ya Khuda, Ya Khuda, tu hai mera Masiha

 

Artist Reena Kant
Album Kush Khabri
Release Date Thursday, May 10, 2018
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Lyrics

Dilruba , maharaba, humnafas, humnava ,
Dilkashi, dilnashin, aafreen , yakhuda

Dil dil de diya hai – 4 maine tujhko } 2
Dil wala hai tu sabse bada
Teri adaa hai sabse juda

Yeh zindagi – hai roshni
Yeh aashique – hai bandagi
Tu de rahaa hai har khushi – 2
Humko mili hai teri wafa – 2
Jo bhi tu chahe hoga yahan

Teri nazar dagar – 2
To phir mujhe hai kaisa dar
Tujhko sabhi ki hai khabar – 2
Teri nazar se kuch na chupa – 2
Tune dikhaya hai rasta

Page 17 of 18 1 15 16 17 18