I have come that you may have life, and life in abundance — Zindagi Forever.

ArtistAnil Kant
AlbumKhuda Najaat Hai
Release DateThursday, April 17, 2014
Copyright© Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

Lyrics

Chaar poore ho gaye,Teen baaki hain…2

(Revelation 3:20)
Aamad Yessu ki aamad, hone waali hai
Dekho woh darwaaze pe khatkhatae hai
Koi darwaaza khole, to Woh andar aaye hai
Saath uske baith ke Yessu, roti khaaye hai
Yessu aane waala hai
Jo kalaam mein likha, jald hone waala hai
Aamad..

Revelation 1:7
Dekho Woh baadalon pe aayega, har aankh usko dekhegi
Woh jo alpha omega hai, woh aisa farmata hai
Ho jiske kaan woh uski baat ko sunle
Uski naboovat ki kitaab ko padh le
Hai woh mubarak woh jo karta hai amal
Yessu aane waala hai

(Revelation 22:17)
(Revelation 21:6)
Rooh kehti hai aa Yessu
Dulhan bole aa Yessu
Dho ke khud ko rakho tum
Sang le jaayega Yessu
Aur jo bhi hai pyasa woh paas aa jaaye
Jeevan ka paani muft mein woh le jaaye
Awwal hai akhir ibtida woh inteha
Yessu aane wala hai..

ArtistAnil Kant, Reena Kant, Shreya Kant
AlbumKhuda Najaat Hai
Release DateThursday, April 17, 2014
Copyright© Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Din hai khushi ka, Halelluiah
Nayi zindagi ka, Halelluiah
Zinda hua hai, mera Khuda hai
Mera Khuda hai, Halelluiah

Woh Baadshah hai, Halleluiah
Sabka Raaja hai, Halleluiah
Kaisi ho aafat, kaisi musibat
Meri fatah hai, Halleluiah

Kabr pe jaake sabne dekha,
Mariam ne dekha humne dekha
Yeshu Masih ki, Kabr hai khali
Patthar hatta hai, Halelluiah

Jeevan ki roti, Halelluiah
Jeevan ka paani, Halelluiah
Aadi hai Yeshu, ant hai Yeshu
Woh raasta hai, Halelluiah
Din hai khushi ka, Halelluiah

ArtistAnil Kant
AlbumKhuda Najaat Hai
Release DateThursday, April 17, 2014
Copyright© Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

Lyrics

(Matthew 5:48)
Prarthana karo
Pita siddh hai,tum bhi bano

(1 Peter 1:16)
Paak Yahova, paak Khuda hai
Log bhi uske, paak bane sab
Paap na kaaro, paap na karo
Pita pavitra hai, tum bhi bano

(Matthew 26:41)
Rooh to hai taiyyaar magar ye
Jism badaa kamzor hai dekho
Jaagte raho jaagte raho
Taake parikshaa mein na padho…

(Mark 4:39-40)
Tham jaayega har ik toofan
Bas tum apne munh se kah do
Kyun darte ho, kyun darte ho
Kyun darte ho, saath hoon dekho
Kyun darte ho imaan rakho
Prarthana karo

 

Artist Reena Kant
Album Khuda Najaat Hai
Release Date Thursday, April 17, 2014
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

 

Lyrics

Usne najaat di, humko bachaa liya
Apne reham se, apni dayaa se
Humko bula liya

Saaf dil se ibadat karoonn
Shukr karoon aur dua me rahoon
Jeevan ka pyala, mere Khuda ne
Mujhko pila diya…

Dooba hua thaa main jahaan mein
Dunia ke har ik bure kaam mein
Khoya hua tha, soya hua tha
Usne jagaa diya…

ArtistAnil Kant
AlbumKhuda Najaat Hai
Release DateThursday, April 17, 2014
Copyright© Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

Lyrics

Kitni acchhi aur kitni, khushi ki baat hai ye
Bhai bhai milke rahen, milke rahen, milke rahen


Keemti tel hai ye woh, jo sar pe daala gaya
Aur behta hua Haaroon ki daadhi pe gaya
Uske daaman ke kanaaron, talak woh jaa pahunche
Bhai bhai

Os harmon ki jaise, siyyon par barse
Aur Khuda ne, bhi vahin par, apni us barkat ke
Yaani abdi zindagi ke, hukm farmaaye

Bhai bhai…
Daadhi- beard, harmon- Mt. Hermon, abdi- eternal

ArtistRishabh Kant
AlbumKhuda Najaat Hai
Release DateThursday, April 17, 2014
Copyright© Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Ho Shukriya, woh hai bhala
Ho Shukriya, ho shukriya
Aao kahen uski shafkat abdi hai
Usne fatah hamen de di hai
Jo uske log hain aao sab milke gaayen
Humko Khuda ne khushi di hai
Ho shukriya-4

Maine musibat mein ki dua
Rab ne dua ko suna
Insaan mera kya kar sakega
Sang mere hai Khuda
Khudawand meri taraf se hai, dar kaisa
Woh hai madadgaar dekho mera
Meri umeed bharosa hai uspe hi
Uska har vaada hai poora hoga
Ho shukriya, ho shukriya

Aye Khuda, tera hi aasara
Tera karam, teri panaah,
Tu geet hai mera
Quwaat meri, meri najaat, aye Khuda

Jab tak jiyunga karunga
Kaamon ka tere bayaan
Darwaaze mere liye khul gaye
Main unmein daakhil hua
Kar diya radd aur nakaara jisko sabne kaha
Kone ke sire ka woh patthar hai
Hai yeh ajeeb aur Khudawand ki taraf se dekho
Jo uske sang hai mubarak hai
Ho shukriya, ho shukriya

Shafkat- love, fatah- victory, bayaan- narrate

Artist Anil Kant
Album Khuda Najaat Hai
Release Date Thursday, April 17, 2014
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Chalo Yesu ke darbar, bolo Jai Yesu ki
Lag jaaye bedaa paar, bolo Jai Yesu ki

Kyun phirta hai dar dar praani
Kaahe karta hai nadaani
Haath utha le Yesu paa le
Nayyiaa apni paar laga le
Yesu mukti ka dwaar, bolo Jai Yesu ki..

Jisne apne paap ko maana
Aur apna andar pehchana
Yesu uske dil mein aaye
Maaf kare har paap mitaye
Woh saccha taaranhaar bolo Jai Yesu ki…

Artist Shreya Kant
Album Khuda Najaat Hai
Release Date Thursday, April 17, 2014
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Haan pyar, woh pyar hai, pyar hai
Woh Khuda khud hi pyaar hai
Pyar jo kare, woh Khuda se hai
Aur Khuda ko, woh jaanta hai

(2 Corinthians 5:17)
Isliye Masih mein koi hai to
Aadmi naya ho gaya hai
Jaati rahi hain, cheezen purani
Dekho kya se kya ho gaya hai
Masaah masaah, beshumaar hai

(1 Corinthians 6:19-20)
Kya ye tum nahin jaante ho
Ye badan Khuda se mila hai
Paak ruh ka, hai ye maqdis
Woh hi isme aa basaa hai
Masih ko sab, ikhtiyaar hai

(John 3:16)
Usne apna iklauta beta
Dunia mein isliye bheja
Uske sabab se, zinda rahoon main
Kyunki woh bhi zinda hua hai
Ab dil ki yehi, pukaar hai

ArtistAnil Kant
AlbumKhuda Najaat Hai
Release DateThursday, April 17, 2014
Copyright© Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

Lyrics

Nahin doosra koi naam,
Baksha gaya hai hamen,
Ke mil jaaye jis naam se, najaat

Yahi naam hai Masih ka, Yahoshua
Pyara naam hai Masih ka, Yahoshua
Saccha naam hai Masih ka, Yahoshua
Paigam hai Masih ka, Yahoshua
Khuda najaat hai, Khuda najaat hai
Naam-e Yahoshua, kehta ye baat hai…

(Isaiah 53:1)
Woh baazu hai, sacche Rab ka
Lene aaya, dukh hum sab ka
Sacche Khuda ko zaahir karke
Mukti ka rasta dikha diya
Woh kuchla gaya tha, Yahoshua
Suli pe chadhaa tha, Yahoshua
Woh maara gaya tha, Yahoshua
Phir zinda hua tha…

(Philippians 2:8-11)
Khud ko usne, kuchh na samjhaa
Khaali hokar, suli pe chadhaa
Rab ne bhi usko naam diya
Jo har ik naam se ooncha hai
Jo Rab me hai woh hai, Yahoshua
Rab jisme hai woh hai, Yahoshua
Har ghutna tikega, Yahoshua
Har zubaan kahegi, Yahoshua
Khuda najaat hai, Khuda najaat hai
Naam-e Yahoshua, kehta ye baat hai…