Us khuda-e paak ke saaye mein hai Kitna sukoon Woh mera ghar hai Panaah meri mai yeh sabse kahoon
Uspe hi tu rakh umeed aur Uspe hi kar le yakeen Jaal mein sayeead ke tujhko chuda lega wahi Woh tujhe apne paroon se dhaank lega pyar se Uski sachaai hai teri dhaal ab darta hai kyun
Chahe din ke teer hon ya raat ki hai baat ho Tujhko chu bhi na sakenge chahe jo haalat ho Is taraf kitne girenge us taraf bhi beshumaar Par tere nazdeek bhi na aa sakegi maut yun
Tumne hak taala ko mana is liye yeh baat hai Har musibat mein ya aafat mein woh tere sath hai Sher ko bhi raund kar tu yun nikalta jaayega Woh tujhe bakshega izzat umr bhar dega sukoon
Mujhpe raham kar aye khuda-2 Hai meri jaan ko teri panaah-2 mujhpe..
Main tere paron ke saaye mein loonga panah Jab tak na tal jaye hare ek aafat khuda Ghera hai mujhko mere dushmanon ne yahan Woh meri khatir falak se madad bhejega Tera jalaal saari zameen par ho
Tu jaanta Hai khuda mere hun mein kahan aatish mizaaj aur sheron ke hoon darmiyan talwar jaisi zubaan daant hain barchiyan tu apni rehmat aur sachaai kar de bayaan tera jalaal sari zameen par ho
Dil ab hai tera tere geet main gaaonga Ab saari duniya ko yeh baat batlaoonga Taarif teri karta rahoon main sadaa Rehamat aur sachaai teri buland aye khuda Tera jalaal saari zameen par ho
Mubarak hai woh aadmi Jo paap ke raaste pe nahin chalta hai Rukta nahin paapiyon ke raaste mein kahin Jinko nafrat hai khuda se Unki mehfil mein na jaye Jinko shariyat mein khuda ki Hi mazaa milta hai
Woh us darakht ki maanind Jo hai paani ke kinare Apne mausam se phal aaye Rahe patte hare bhare-2 So woh jo kuch bhi hai karta Woh use phalta hai..
Sukhe tinke ki tarah jism yeh ud jaayega Uske darbar mein paapi na jagah paayega-2 ke khudawand jo hai saadikon Se milta hai…
Aye duniya ke logon Oonchi awaz karo Gao khushi ke geet, uska gungaan karo Ibadat karo uski ibadat karo….
Yaad rakho ke wahi ik khuda hai Humko yeh jeevan usi ne diya hai Us charagah se hum sab hain aaye Hamd-o-sana ke hum geet gayen Rab ka tum shukr karo Oonchi aawaz…..
Naame-khudawand kitna mubarak Mera khudawand kitna bhala hai Rahmat hai uski sadiyon purani Wafa ka azal se yahi silsila hai Us par imaan dharo uske ghar aao chalo Gao khushi…… Ibadat karo
Meri rooh khuda ki pyasi hai meri rooh Jaise hirni paani ke naalon ko tarasti hai, meri rooh Meri rooh khuda ki pyasi hai meri rooh…..
Raat aur din aasoon behte hain Duniya wale sab kehte hain Hai kaun kahan hai tera khuda Kyun hai itna bechain yeh dil Kyun jaan yeh girti jaati hai Hoga kis din deedar tera Kab hoga milna rubaru meri rooh
Yardaan ki zameen se gaoonga Kohe mizgaar se gaaonga Geharaon se geharaon tak Raat aur din hoga tera karam Mein geet dua ke gaaonga Woh mujhpe kare apni rehmat Hai meri bus yeh arzoo….
Dushman ki malamat teer si hai Kyun uske zulm ka sog karoon Chattaan hai meri mera khuda Woh mujhse yeh hardam kehte hain Hai kaun kahan hai tera khuda Hoga kis din deedar tera Mere toote dil ki aas hai tu,meri rooh….