I have come that you may have life, and life in abundance — Zindagi Forever.

Artist Anil Kant, Shreya Kant
Album Main Mandir Hoon Tera
Release Date Tuesday, June 11, 2013
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Aye Khuda Mere Khuda,
Mere Khuda, Yesu
Mere dil ko aas hai Teri
Meri jaan ko pyas hai Teri
Tere mandir mein jab aaon
Teri taaqat quwwat paaon
Aye Khuda Mere Khuda…

Zindagi se behtar hai, tera reham Khuda
Honth mere gaayenge, Teri hamd aur sana
Saari umr tujhko mein mubarak kahoonga
Tera naam lekar apne haath main uthaoonga-2
Mere dil ko aas…

Raat ke har ik peher mein, bas teri yaadon mein
Apne bichaune pe baithaa rahoonga
Khud ki khabar nahin, Khuda ka junoon hai
Teri baadshahat mein kitna sukoon hai-2
Mere dil ko aas…

ArtistAnil Kant
AlbumMain Mandir Hoon Tera
Release DateTuesday, June 11, 2013
Copyright© Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

Lyrics

Paak Lahoo hai, Lahoo Yesu ka
Zindaa Lahoo hai, Lahoo Yesu ka
Lahoo Yehovah ka-2 (John 6:53)
Paap mitaata, Lahoo Yesu ka
Jeevan data, Lahoo Yesu ka
Lahoo Yehovah ka-2

Yesu Masih mein mujkho kaayam
Uska Lahoo karta hai (John 6:56)
Mere paap ki keemat deke
Mujhko rihaa karta hai (Romans 5:9)
Khoon ke dum se, zinda hua hai-2
Har shakhs duniya ka-2
Bas odh le jo, Lahoo Yesu ka
Usko chuda le, Lahoo Yesu ka
Lahoo Yehovah ka-2

(Hebrews 9:14)
Bakron aur baccharon ka nahin hai
Apna khoon diya hai
Jo beiab hai, aur jo paak hai
Woh qurbaan kiya hai
Paak Lahoo se paak kiya hai -2
Shukr Khudawand ka- 2
Parda khole, Lahoo Yesu ka
Bhar de sholay, Lahoo Yesu ka
Lahoo Yehovah ka-2

(Hebrews 13:20-21)
Nek aur achhi baaton mein woh
Kaamil hamen karta hai
Rab ki poori marzi mein woh
Shaamil hamen karta hai
Teen gawahi, rooh paani (1 John 5:8)
Aur lahoo Yahovah ka
Khushiyan manao, Lahoo Yesu ka
Jeet gaya hai, Lahoo Yesu ka
Lahoo Yehovah ka-2

 

Artist Anil Kant
Album Main Mandir Hoon Tera
Release Date Tuesday, June 11, 2013
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Meri saans mein, teri saans hai
Meri rooh mein, paak rooh
Meri aankh mein, teri aankh hai
Mere haath mein, tera haath
Tu chale main chaloon, Tu ruke main rukoon
Tu kahe jo wahi main karoon
Tu chue main chuoon, jo kahe woh karoon
Rooh man jism sab saunp doon
Main mandir hoon tera
Zinda ghar hoon tera
Meri marzi ab nahin teri hogi razaa
Yahi ban gaya mera saara jeevan,
Aye Khuda Aye Khuda
Main Mandir Hoon
Prabhu ka mandir hoon, pavitra mandir hoon

Tera jalaal mujh mein dikhe
Surat teri main banoo
Jab Rooh tera, hai mujh mein toh
Azaad hoon paak hoon
Aisa bartan banoo, jisme Tu hai bhara
Jhoot mit jaaye kar de kharaa
Main Khudawand mein hoon,
Ho gayaa hoon naya
Jo purana tha jaata rahaa
Main Mandir….

Aye madadgaar, Tujhse hai pyar
Aye Paak Rooh, Paak Rooh
Sikhla mujhe apna kalaam
Dikhla mujhe raah Tu
Tune mujhko chuna, mujh mein rehna lagaa
Aisa mujhpe karam hai kiya
Paapi itna bada jo gunahgaar tha
Apna beta mujhe kar diya
Main Mandir

Artist Anil Kant, Shreya Kant
Release Date Tuesday, June 11, 2013
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Songs & Lyrics

ArtistAnil Kant
AlbumKhuda Najaat Hai
Release DateThursday, April 17, 2014
Copyright© Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

Lyrics

Chaar poore ho gaye,Teen baaki hain…2

(Revelation 3:20)
Aamad Yessu ki aamad, hone waali hai
Dekho woh darwaaze pe khatkhatae hai
Koi darwaaza khole, to Woh andar aaye hai
Saath uske baith ke Yessu, roti khaaye hai
Yessu aane waala hai
Jo kalaam mein likha, jald hone waala hai
Aamad..

Revelation 1:7
Dekho Woh baadalon pe aayega, har aankh usko dekhegi
Woh jo alpha omega hai, woh aisa farmata hai
Ho jiske kaan woh uski baat ko sunle
Uski naboovat ki kitaab ko padh le
Hai woh mubarak woh jo karta hai amal
Yessu aane waala hai

(Revelation 22:17)
(Revelation 21:6)
Rooh kehti hai aa Yessu
Dulhan bole aa Yessu
Dho ke khud ko rakho tum
Sang le jaayega Yessu
Aur jo bhi hai pyasa woh paas aa jaaye
Jeevan ka paani muft mein woh le jaaye
Awwal hai akhir ibtida woh inteha
Yessu aane wala hai..

ArtistAnil Kant, Reena Kant, Shreya Kant
AlbumKhuda Najaat Hai
Release DateThursday, April 17, 2014
Copyright© Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Din hai khushi ka, Halelluiah
Nayi zindagi ka, Halelluiah
Zinda hua hai, mera Khuda hai
Mera Khuda hai, Halelluiah

Woh Baadshah hai, Halleluiah
Sabka Raaja hai, Halleluiah
Kaisi ho aafat, kaisi musibat
Meri fatah hai, Halleluiah

Kabr pe jaake sabne dekha,
Mariam ne dekha humne dekha
Yeshu Masih ki, Kabr hai khali
Patthar hatta hai, Halelluiah

Jeevan ki roti, Halelluiah
Jeevan ka paani, Halelluiah
Aadi hai Yeshu, ant hai Yeshu
Woh raasta hai, Halelluiah
Din hai khushi ka, Halelluiah

ArtistAnil Kant
AlbumKhuda Najaat Hai
Release DateThursday, April 17, 2014
Copyright© Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

Lyrics

(Matthew 5:48)
Prarthana karo
Pita siddh hai,tum bhi bano

(1 Peter 1:16)
Paak Yahova, paak Khuda hai
Log bhi uske, paak bane sab
Paap na kaaro, paap na karo
Pita pavitra hai, tum bhi bano

(Matthew 26:41)
Rooh to hai taiyyaar magar ye
Jism badaa kamzor hai dekho
Jaagte raho jaagte raho
Taake parikshaa mein na padho…

(Mark 4:39-40)
Tham jaayega har ik toofan
Bas tum apne munh se kah do
Kyun darte ho, kyun darte ho
Kyun darte ho, saath hoon dekho
Kyun darte ho imaan rakho
Prarthana karo

 

Artist Reena Kant
Album Khuda Najaat Hai
Release Date Thursday, April 17, 2014
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

 

Lyrics

Usne najaat di, humko bachaa liya
Apne reham se, apni dayaa se
Humko bula liya

Saaf dil se ibadat karoonn
Shukr karoon aur dua me rahoon
Jeevan ka pyala, mere Khuda ne
Mujhko pila diya…

Dooba hua thaa main jahaan mein
Dunia ke har ik bure kaam mein
Khoya hua tha, soya hua tha
Usne jagaa diya…

ArtistAnil Kant
AlbumKhuda Najaat Hai
Release DateThursday, April 17, 2014
Copyright© Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

Lyrics

Kitni acchhi aur kitni, khushi ki baat hai ye
Bhai bhai milke rahen, milke rahen, milke rahen


Keemti tel hai ye woh, jo sar pe daala gaya
Aur behta hua Haaroon ki daadhi pe gaya
Uske daaman ke kanaaron, talak woh jaa pahunche
Bhai bhai

Os harmon ki jaise, siyyon par barse
Aur Khuda ne, bhi vahin par, apni us barkat ke
Yaani abdi zindagi ke, hukm farmaaye

Bhai bhai…
Daadhi- beard, harmon- Mt. Hermon, abdi- eternal

ArtistRishabh Kant
AlbumKhuda Najaat Hai
Release DateThursday, April 17, 2014
Copyright© Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Ho Shukriya, woh hai bhala
Ho Shukriya, ho shukriya
Aao kahen uski shafkat abdi hai
Usne fatah hamen de di hai
Jo uske log hain aao sab milke gaayen
Humko Khuda ne khushi di hai
Ho shukriya-4

Maine musibat mein ki dua
Rab ne dua ko suna
Insaan mera kya kar sakega
Sang mere hai Khuda
Khudawand meri taraf se hai, dar kaisa
Woh hai madadgaar dekho mera
Meri umeed bharosa hai uspe hi
Uska har vaada hai poora hoga
Ho shukriya, ho shukriya

Aye Khuda, tera hi aasara
Tera karam, teri panaah,
Tu geet hai mera
Quwaat meri, meri najaat, aye Khuda

Jab tak jiyunga karunga
Kaamon ka tere bayaan
Darwaaze mere liye khul gaye
Main unmein daakhil hua
Kar diya radd aur nakaara jisko sabne kaha
Kone ke sire ka woh patthar hai
Hai yeh ajeeb aur Khudawand ki taraf se dekho
Jo uske sang hai mubarak hai
Ho shukriya, ho shukriya

Shafkat- love, fatah- victory, bayaan- narrate

Page 7 of 21 1 5 6 7 8 9 21