I have come that you may have life, and life in abundance — Zindagi Forever.

Artist Shreya Kant, Sujata Trivedi
Album Ibadat Karo
Release Date Thursday, September 4, 2003
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Woh khuda mera charwaha hai-2

Mujhko kami na hogi-2

 

Woh mujhe hari -2 charagahon mein laake bithata hai

Mujhe raahat ki nadiyon ke paas mera khuda le jaata hai

Meri jaan bahaal karta hai…

 

Chaahe maut ke saaye ki hi vaadi se main jab bhi guzroon

Tu jo paas hai mere khuda main kisi balaa se kyun daroon

Mujhe raas hai teri wafaa…..

 

Mere dushmanon ke saamne tu mera mez lagaata hai

Bharpoor karta hai mujhko labrez mera pyala hai

Aur mujhko pyar dikhata hai….woh khuda

 

Hai yakeen mujhe teri rahmat mere saath rahegi umr bhar

Hoga sada mera bhala gar tu hai mera humsafar

Tere ghar mein rahoonga main sadaa, woh khuda..

Artist Anil Kant
Album Ibadat Karo
Release Date Thursday, September 4, 2003
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Aye duniya ke logon
Oonchi awaz karo
Gao khushi ke geet, uska gungaan karo
Ibadat karo uski ibadat karo….

Yaad rakho ke wahi ik khuda hai
Humko yeh jeevan usi ne diya hai
Us charagah se hum sab hain aaye
Hamd-o-sana ke hum geet gayen
Rab ka tum shukr karo
Oonchi aawaz…..

Naame-khudawand kitna mubarak
Mera khudawand kitna bhala hai
Rahmat hai uski sadiyon purani
Wafa ka azal se yahi silsila hai
Us par imaan dharo uske ghar aao chalo
Gao khushi……
Ibadat karo

Artist Anil Kant
Album Ibadat Karo
Release Date Thursday, September 4, 2003
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics


Parbaton ko dekhunga mein-2
Kaun hai madadgaar mera-2
Mera madadgaar khuda hai
Jisne zameen aur aasman ko banaya-2

Woh tere paon ko fisalne nahin dega
Khudawand hai tera jaaga hua
Tujhe tanha na chodega-2
Mera nigehbaan khuda hai-2

Teri jaan ko balaa chu bhi na paayegi
Na garmi chaand o suraj ki kabhi
Tujhko jalayegi
Mera saahibaan khuda hai…

Artist Anil Kant
Album Ibadat Karo
Release Date Thursday, September 4, 2003
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Meri rooh khuda ki pyasi hai meri rooh
Jaise hirni paani ke naalon ko tarasti hai, meri rooh
Meri rooh khuda ki pyasi hai meri rooh…..

Raat aur din aasoon behte hain
Duniya wale sab kehte hain
Hai kaun kahan hai tera khuda
Kyun hai itna bechain yeh dil
Kyun jaan yeh girti jaati hai
Hoga kis din deedar tera
Kab hoga milna rubaru meri rooh

Yardaan ki zameen se gaoonga
Kohe mizgaar se gaaonga
Geharaon se geharaon tak
Raat aur din hoga tera karam
Mein geet dua ke gaaonga
Woh mujhpe kare apni rehmat
Hai meri bus yeh arzoo….

Dushman ki malamat teer si hai
Kyun uske zulm ka sog karoon
Chattaan hai meri mera khuda
Woh mujhse yeh hardam kehte hain
Hai kaun kahan hai tera khuda
Hoga kis din deedar tera
Mere toote dil ki aas hai tu,meri rooh….

 

Artist Anil Kant, Shreya Kant,Sujata Trivedi 
Release Date Thursday, September 4, 2003
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Songs & Lyrics

Artist Anil Kant, Reena Kant, Shreya Kant
Album Pray For India
Release Date Sunday, August 15, 2004
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

 

Lyrics

Tere ghar mein kaun rahega-2
Tere paak makaan mein
Kisko chhain milega
Tere ghar…

Woh jo raste pe chalega
Aur bhale kaam karega
Jo sada sachh hi kahega
Aur burai se darega
Woh tere ghar mein…
Tere ghar…

Na doston ki badi mein
Na padosi ki burai
Woh jo darte hain khuda se
Unki karta ho badai
Woh tere ghar mein…
Tere ghar …

Jo kasam kha ke na badle
Chahe nuksaan uthaye
Jo chale raah khuda ki
Kabhi thokar woh na khaye
Woh tere ghar mein rahega
Tere ghar…

Artist Anil Kant, Reena Kant, Shreya Kant
Album Pray For India
Release Date Sunday, August 15, 2004
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Aasmani khushi se bhar de mujhko
Geet naya dil mein laa
Utar aa utar aa…
Aye ruhe paak utar aa…

Amrit jal prabhu mujko pila de
Dil mere ki pyaas bujha de
Chashma ban ke uchhal aa..
Utar aa….

Aasmani roti mujhko khila de
Kamzor dil ko tagda bana de
Bharpur kar ke rajaa
Utar aa….
Paak rooh aa mere dil ke andar
Ban jaon main tera mandir
Apni raah dikha..
Utar aa…

Artist Jagit Singh
Album Pray For India
Release Date Sunday, August 15, 2004
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Meri rooh khuda mein magan hai
Jaan meri najaat se khush hai
Mere sar ko usne buland kiya
Ab kaun mera hai uske siva
Meri rooh…

Dekho guroor se bachh ke rehna
Munh se bada koi bol na kehna
woh hai sab kuch tolne wala
har parde ko kholne wala
woh khuda, khuda-e- reham hai
meri rooh…

himmat meri toot gayi thi
kismat mujhse rooth gayi thi
usne apne paas bulaya
mujhko apne saath bithaya
meri jaan pe uska karam hai
meri rooh…
najaat- freedom/ buland-elevate/ guroor- pride

Artist Anil Kant & Jagjit Singh
Album Pray For India
Release Date Sunday, August 15, 2004
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

Lyrics

Ibteda mein kalaam tha
Aur woh khuda ke paas tha
Woh kalaam khud khuda hi tha
Pehle se uske saath tha
Ibteda mein………

Usme hi sab kuch paida hua
Uske bina toh kuch bhi na tha
Ibteda mein…….

Thi us kalaam se hi zindagi
Thi woh hi insaan ki roshni
Ibteda mein……..

Woh noor chamka andheron mein
Andhera usko samjha na tha
Ibteda mein………………..
Ibteda- beginning/ kalaam- word

 

Artist Anil Kant
Album Pray For India
Release Date Sunday, August 15, 2004
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Tu hi rab hai tu hi sab hai
Leta hun mein tujh mein panaah
Mujhko sambhal mere Khuda

Ter bina kya meri bhalai
Har shay maine tujh se hi payi
Tu hai khudawand mera pyala
Tune mere hisse ko sambhala
Mera muhafiz hai tu khuda
Mujhko sambhal…

Jitna main tere paas rahoonga
Utna hi mazboot banoonga
Tujhko hi bas apna kahunga
Gairon ke peeche na chaloonga
Gaoonga teri hamd-o-sana
Tu hi rab…
Panaah- shelter/ muhafiz- protector/
hamd-o-sana- praise& worship

 

Page 19 of 21 1 17 18 19 20 21