I have come that you may have life, and life in abundance — Zindagi Forever.

Artist Anil Kant
Album Sach Sach Kehta Hoon
Release Date Thursday, May 10, 2018
Copyright © Trinity Sounds

Download & Streaming Stores

Video

 

Lyrics

Ghar yeh ik din gir jaayega
Chhota bacchaa dar jaayega
Naujawaan woh mar jaayega
Agar raaste naa badle,
jiske kaan ho woh sun le

Mummy main bhi jaaunga
Main bhi aag lagaunga
Papa bhi to jaate hain
Bus me aag lagaate hain
Sheeshe tod ke aate hain
Ab se main bhi papa ke sang,
Kaam kara ke aaunga,
Mummy main bhi jaaunga…


Mummy main bhi jaaunga
Chakka jaam karaunga
Chachu kehte hain india ka
Chakka jaam kara denge
Jo bhi kaam pe jaayega hum,
Usko aag laga denge
Sadkon ko jhulsaa denge,
Sabse se hum badla lenge
Itna loss karenge saari,
India ko rulwaa denge
Aaj se main bhi chaachu ke sang
Kaam mein haath bataaunga..
Mummy main bhi jaaunga…


Mummy anwar muslim hai kya;
Kya sanjay hindu hota hai?
Aatankwadi kahan se aaye;
Aur jehad yeh kya hota hai?
Papa mujhko bomb dila do
AK 47 laado
Asli nahin to nakli dedo,
Ek wireless phone bhi ledo
School me jaake teacher ko,
Bandhak banaaunga..
Mummy main bhi jaaunga…

Mummy raju mila tha
Kal woh ro raha tha
Kah raha tha gaaon apne woh
Jaa rahaa hai
Taxi uske papa ki
Apne chhachu ne todi
Unko maara bhi bahut
Kardi haalat buri
Raju dost hai mera
Raju achhaa ladka hai
Keh raha hai hum yahaan ke hain woh
UP waala hai..
Mujhe ab pata chala
Chachu kahan jaate hain
Papa kya karte hain…
Main to nahin jaaunga
Bus nahin jalaaunga
Taxi nahin todunga,
Sheeshe nahin phodunga
Haath aise kaamon mein
Papa ka na bataunga
Main to nahin jaaaunga
Kabhi nahin jaaunga..
Chachu ko bhi samjhaaunga
Main to nahin jaaaunga
Papa ko bhi manaaunga
Mummy nahin jaaunga..